aag pani mein farozan dekho
aag paanī meñ farozāñ dekho
tum bhī us ghar kā charāġhāñ dekho
vahshat-e-ḳhvāb-e-gurezāñ dekho
lazzat-e-dīd kā unvāñ dekho
dekh kar hī tumheñ ḳhush ho jā.ūñ
merī āsūdgī-e-jāñ dekho
apne hī lams pe hai us kā gumāñ
merā irfāñ mirā vijdāñ dekho
maiñ bulandī nahīñ pātāl meñ huuñ
dekho paao to tah-e-jāñ dekho
aag pani mein farozan dekho
tum bhi us ghar ka charaghan dekho
wahshat-e-KHwab-e-gurezan dekho
lazzat-e-did ka unwan dekho
dekh kar hi tumhein KHush ho jaun
meri aasudgi-e-jaan dekho
apne hi lams pe hai us ka guman
mera irfan mera wijdan dekho
main bulandi nahin patal mein hun
dekho pao to tah-e-jaan dekho
- Book : Kunj Pele Pholon ka (Pg. 85)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Malik Noorani (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.