aag si barasti hai sabz sabz patton se
aag sī barastī hai sabz sabz pattoñ se
duur bhāgte haiñ log shahr ke daraḳhtoñ se
pichhlī raat jab har sū zulmatoñ kā pahra thā
ek chāñd niklā thā in hasīñ darīchoñ se
jaane chhū ga.e hoñge kis ke phuul se paañv
ik mahak sī uThtī hai is nagar ke rastoñ se
aaj ke zamāne meñ kis ko hai sukūñ hāsil
sab haiñ bar-sar-e-paikār apnī apnī sochoñ se
tīrgī se bhī jis kī phuul se jhaḌeñ 'betāb'
kyuuñ vo raushnī māñge dūsroñ kī sub.hoñ se
aag si barasti hai sabz sabz patton se
dur bhagte hain log shahr ke daraKHton se
pichhli raat jab har su zulmaton ka pahra tha
ek chand nikla tha in hasin darichon se
jaane chhu gae honge kis ke phul se panw
ek mahak si uThti hai is nagar ke raston se
aaj ke zamane mein kis ko hai sukun hasil
sab hain bar-sar-e-paikar apni apni sochon se
tirgi se bhi jis ki phul se jhaDen 'betab'
kyun wo raushni mange dusron ki subhon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.