aag sine mein mohabbat ki lagate kyon hain
aag siine meñ mohabbat kī lagāte kyoñ haiñ
jab unheñ chhoḌ ke jaanā hai to aate kyoñ haiñ
ham jab insān kī tārīf meñ aate hī nahīñ
phir hameñ log kaleje se lagāte kyoñ haiñ
duur ka.aba to hai bandoñ kī ibādat ke liye
phir ye ta.amīr-shuda ghar ko girāte kyoñ haiñ
kāñch kā ghar na shajar hai koī āñgan meñ mire
dosto sang mire ghar meñ phir aate kyoñ haiñ
jab unheñ mujh se mohabbat hī nahīñ hai 'svāmī'
phir mirā naam vo likh likh ke miTāte kyoñ haiñ
aag sine mein mohabbat ki lagate kyon hain
jab unhen chhoD ke jaana hai to aate kyon hain
hum jab insan ki tarif mein aate hi nahin
phir hamein log kaleje se lagate kyon hain
dur kaba to hai bandon ki ibaadat ke liye
phir ye tamir-shuda ghar ko giraate kyon hain
kanch ka ghar na shajar hai koi aangan mein mere
dosto sang mere ghar mein phir aate kyon hain
jab unhen mujh se mohabbat hi nahin hai 'swami'
phir mera nam wo likh likh ke miTate kyon hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.