aag thi aisi ki arman jal gae
aag thī aisī ki armāñ jal ga.e
dil ke kāġhaz āñsuoñ meñ gal ga.e
rañg hai ḳhushbū bhī hai saaya bhī hai
kis nagar ''ai peḌ tere phal ga.e
khet kī miTTī ko vīrāñ dekh kar
gaañv vaale DhūñDne bādal ga.e
sah chukī sab dhuup paanī ke azaab
zindagī āḳhir tire kas-bal ga.e
jāgtī āñkheñ thiiñ apnī aur ham
ḳhvāb ke āñgan meñ pal do pal ga.e
jehl kā saaya qad-āvar jab huā
khoTe sikke har taraf phir chal ga.e
shahr ke sapne sajāne ai 'sadaf'
be-tahāshā dauḌte jañgal ga.e
aag thi aisi ki arman jal gae
dil ke kaghaz aansuon mein gal gae
rang hai KHushbu bhi hai saya bhi hai
kis nagar ai peD tere phal gae
khet ki miTTi ko viran dekh kar
ganw wale DhunDne baadal gae
sah chuki sab dhup pani ke azab
zindagi aaKHir tere kas-bal gae
jagti aankhen thin apni aur hum
KHwab ke aangan mein pal do pal gae
jehl ka saya qad-awar jab hua
khoTe sikke har taraf phir chal gae
shahr ke sapne sajaane ai 'sadaf'
be-tahasha dauDte jangal gae
- Book : Sargoshi Baharon Ki (Pg. 99)
- Author : Sadaf Jafri
- Publication : Maktaba Talimat (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.