aag zaKHmon ki jala kar dekho
aag zaḳhmoñ kī jalā kar dekho
jī ko ik rog lagā kar dekho
kitnī ma.asūm hai rūdād-e-hayāt
ḳhud ko aaseb banā kar dekho
shikva-e-nīm-nigāhī hai ġhalat
phir to chehra hī milā kar dekho
kyā kaheñ lafz-e-mohabbat hai garāñ
dil ke aurāq uThā kar dekho
kitne chehre haiñ naqāb-ālūda
lau charāġhoñ kī baḌhā kar dekho
apnī bichhḌī huī tanhā.ī se
kyuuñ na ik baar vafā kar dekho
bahtī maujoñ ko qarār aa jaa.e
naġhma-e-dard sunā kar dekho
kitne shaffāf haiñ yādoñ ke badan
tum inheñ haath lagā kar dekho
dil kī jannat ko sukūñ kuchh to mile
dasht-o-sahrā hī basā kar dekho
bistar-e-gul pe bahut raat ga.e
koī sotā hai jagā kar dekho
un makānoñ meñ makīñ koī nahīñ
vaise zanjīr hilā kar dekho
naam apnā bhī kahīñ hai ki nahīñ
merā dīvān uThā kar dekho
aag zaKHmon ki jala kar dekho
ji ko ek rog laga kar dekho
kitni masum hai rudad-e-hayat
KHud ko aaseb bana kar dekho
shikwa-e-nim-nigahi hai ghalat
phir to chehra hi mila kar dekho
kya kahen lafz-e-mohabbat hai garan
dil ke auraq uTha kar dekho
kitne chehre hain naqab-aluda
lau charaghon ki baDha kar dekho
apni bichhDi hui tanhai se
kyun na ek bar wafa kar dekho
bahti maujon ko qarar aa jae
naghma-e-dard suna kar dekho
kitne shaffaf hain yaadon ke badan
tum inhen hath laga kar dekho
dil ki jannat ko sukun kuchh to mile
dasht-o-sahra hi basa kar dekho
bistar-e-gul pe bahut raat gae
koi sota hai jaga kar dekho
un makanon mein makin koi nahin
waise zanjir hila kar dekho
nam apna bhi kahin hai ki nahin
mera diwan uTha kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.