āġhāz-e-jafā yaad na anjām-e-vafā yaad
jab sāmne tum aa.e to kuchh bhī na rahā yaad
ab yaad nasheman hai na bijlī kī jafā yaad
nikle the kuchh aise ki chaman tak na rahā yaad
jis ne mirī soī huī duniyā ko jagāyā
aa jaatī hai ab bhī vo mohabbat kī sadā yaad
ehsās sā hotā hai dhaḌakte hue dil ko
shāyad mujhe bhūlī huī duniyā ne kiyā yaad
jo dil meñ tamannā thā jo āñkhoñ meñ sharar thā
ab bhī hai us aañsū ke Tapakne kī sadā yaad
dīdār kī hasrat thī tamannā thī gila thā
jab hosh mujhe aayā to kuchh bhī na rahā yaad
vo ātish-e-ruḳhsār na vo sho.ala-o-sāġhar
kuchh bhī nahīñ maḳhmūr nigāhoñ ke sivā yaad
jis ne ki milā.e the sitāroñ se sitāre
ab tak hai us añgḌā.ī ke lene kī adā yaad
phūloñ meñ vo halkī sī kalī khil ga.ī jaise
ai 'fazl' vo andāz-e-tabassum hī rahā yaad
aaghaz-e-jafa yaad na anjam-e-wafa yaad
jab samne tum aae to kuchh bhi na raha yaad
ab yaad nasheman hai na bijli ki jafa yaad
nikle the kuchh aise ki chaman tak na raha yaad
jis ne meri soi hui duniya ko jagaya
aa jati hai ab bhi wo mohabbat ki sada yaad
ehsas sa hota hai dhaDakte hue dil ko
shayad mujhe bhuli hui duniya ne kiya yaad
jo dil mein tamanna tha jo aankhon mein sharar tha
ab bhi hai us aansu ke Tapakne ki sada yaad
didar ki hasrat thi tamanna thi gila tha
jab hosh mujhe aaya to kuchh bhi na raha yaad
wo aatish-e-ruKHsar na wo shoala-o-saghar
kuchh bhi nahin maKHmur nigahon ke siwa yaad
jis ne ki milae the sitaron se sitare
ab tak hai us angDai ke lene ki ada yaad
phulon mein wo halki si kali khil gai jaise
ai 'fazl' wo andaz-e-tabassum hi raha yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.