aaghaz-e-mohabbat ka to anjam nahin hai
āġhāz-e-mohabbat kā to anjām nahīñ hai
ye sub.h vo hai jis kī kabhī shaam nahīñ hai
kyā dekhtā hai apne sivā dekhne vaale
ā.īna-e-dil jalva-gah-e-ām nahīñ hai
allāh rī taqdīr kī nākāmi-e-paiham
yuuñ baiThā huuñ ab jaise koī kaam nahīñ hai
be-vaj.h kiyā qaid asīroñ ko qafas meñ
sayyād ke sar phir bhī to ilzām nahīñ hai
marne nahīñ detī hai rihā.ī kī tamannā
duniyā meñ mujhe varna koī kaam nahīñ hai
ab ḳhaak ho aiman ke bayābāñ meñ tajallī
'afqar' koī be-parda sar-e-bām nahīñ hai
aaghaz-e-mohabbat ka to anjam nahin hai
ye subh wo hai jis ki kabhi sham nahin hai
kya dekhta hai apne siwa dekhne wale
aaina-e-dil jalwa-gah-e-am nahin hai
allah ri taqdir ki nakaami-e-paiham
yun baiTha hun ab jaise koi kaam nahin hai
be-wajh kiya qaid asiron ko qafas mein
sayyaad ke sar phir bhi to ilzam nahin hai
marne nahin deti hai rihai ki tamanna
duniya mein mujhe warna koi kaam nahin hai
ab KHak ho aiman ke bayaban mein tajalli
'afqar' koi be-parda sar-e-baam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.