aaghaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se humne kaam liya
aaghaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se humne kaam liya
Hafeez Jaunpuri
MORE BYHafeez Jaunpuri
āġhāz-e-mohabbat meñ barsoñ yuuñ zabt se ham ne kaam liyā
jab huuk kaleje meñ uTThī to hāthoñ se dil thaam liyā
us rashk ke hāthoñ ek na ik har roz hī daaġh uThāte rahe
ham choT jigar par khā baiThe jab ġhair ne terā naam liyā
āñkheñ vo jhukeñ milte milte rahe hosh-o-ḳhirad jaate jaate
kuchh sharm ne un ko rok liyā kuchh zabt ne ham ko thaam liyā
insān kī thī ye tāb-o-tavāñ jo bār-e-mohabbat uThā saktā
ek ye bhī hai ehsān tirā kyā us se tū ne kaam liyā
sahrā meñ ThanDe vaqt hameñ yaad aa.ī jo us kī jalvagarī
kuchh aisī huī vahshat dil ko dam jā ke zer-e-bām liyā
aur us ke sivā kuchh kah na sake pūchhā jo kisī ne haal hai kyā
āñkhoñ se aañsū bahne lage hāthoñ se kaleja thaam liyā
luuTā terī donoñ āñkhoñ ne paayā jo mire dil ko tanhā
jo ek ne sabr shakeb liyā to ek ne chain ārām liyā
ab tak to ḳhabar lī us ne mirī jis vaqt koī uftād paḌī
jab Thokareñ khā kar girne lagā haath us ne lapak kar thaam liyā
ham laa.eñ kahāñ se vo āñkheñ jo tum ko pashemāñ dekh sakeñ
ab kaisī nadāmat jab ham ne sab apne sar ilzām liyā
mahrūmī-e-qismat kyā kahiye ehsān kiyā kab saaqī ne
paimāna-e-umr chhalak hī gayā jab haath meñ apne jaam liyā
mauzūñ jo hue jazbāt-e-dil jab sher-e-'hafīz' paḌhā ham ne
sunte hī donoñ hāthoñ se sāme.a ne kaleja thaam liyā
aaghaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se hum ne kaam liya
jab huk kaleje mein uTThi to hathon se dil tham liya
us rashk ke hathon ek na ek har roz hi dagh uThate rahe
hum choT jigar par kha baiThe jab ghair ne tera nam liya
aankhen wo jhuken milte milte rahe hosh-o-KHirad jate jate
kuchh sharm ne un ko rok liya kuchh zabt ne hum ko tham liya
insan ki thi ye tab-o-tawan jo bar-e-mohabbat uTha sakta
ek ye bhi hai ehsan tera kya us se tu ne kaam liya
sahra mein ThanDe waqt hamein yaad aai jo us ki jalwagari
kuchh aisi hui wahshat dil ko dam ja ke zer-e-baam liya
aur us ke siwa kuchh kah na sake puchha jo kisi ne haal hai kya
aankhon se aansu bahne lage hathon se kaleja tham liya
luTa teri donon aankhon ne paya jo mere dil ko tanha
jo ek ne sabr shakeb liya to ek ne chain aaram liya
ab tak to KHabar li us ne meri jis waqt koi uftad paDi
jab Thokaren kha kar girne laga hath us ne lapak kar tham liya
hum laen kahan se wo aankhen jo tum ko pasheman dekh saken
ab kaisi nadamat jab hum ne sab apne sar ilzam liya
mahrumi-e-qismat kya kahiye ehsan kiya kab saqi ne
paimana-e-umr chhalak hi gaya jab hath mein apne jam liya
mauzun jo hue jazbaat-e-dil jab sher-e-'hafiz' paDha hum ne
sunte hi donon hathon se samea ne kaleja tham liya
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-37 Page Number-90)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.