aagahi hoti hai pahle be-KHudi hoti nahin
āgahī hotī hai pahle be-ḳhudī hotī nahīñ
dostī jab tak na hogī dushmanī hotī nahīñ
sair-e-gulshan kījiye ashkoñ kī chādar oḌh kar
muskurāne se chaman meñ tāzgī hotī nahīñ
aur baḌh jaatī hai apnā tajraba to hai yahī
duur rahne se mohabbat meñ kamī hotī nahīñ
ham nahīñ ye saarī duniyā kah rahī hai dosto
jab talak zaḳhmī na dil ho be-ḳhudī hotī nahīñ
aagahi hoti hai pahle be-KHudi hoti nahin
dosti jab tak na hogi dushmani hoti nahin
sair-e-gulshan kijiye ashkon ki chadar oDh kar
muskurane se chaman mein tazgi hoti nahin
aur baDh jati hai apna tajraba to hai yahi
dur rahne se mohabbat mein kami hoti nahin
hum nahin ye sari duniya kah rahi hai dosto
jab talak zaKHmi na dil ho be-KHudi hoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.