aagahi jis maqam par Thahri
āgahī jis maqām par Thahrī
vo faqat merī rahguzar Thahrī
jis ghaḌī sāmnā huā terā
vo ghaḌī jaise umr bhar Thahrī
chal paḌā vaqt jab tire hamrāh
shaam Thahrī na phir sahar Thahrī
har mulāqāt par huā mahsūs
ye mulāqāt muḳhtasar Thahrī
mere ghar aa.ī thī ḳhushī lekin
jā ke mehmān tere ghar Thahrī
har hasīñ se guzar ga.ī 'jāmī'
aa.ine par mirī nazar Thahrī
aagahi jis maqam par Thahri
wo faqat meri rahguzar Thahri
jis ghaDi samna hua tera
wo ghaDi jaise umr bhar Thahri
chal paDa waqt jab tere hamrah
sham Thahri na phir sahar Thahri
har mulaqat par hua mahsus
ye mulaqat muKHtasar Thahri
mere ghar aai thi KHushi lekin
ja ke mehman tere ghar Thahri
har hasin se guzar gai 'jami'
aaine par meri nazar Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.