Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaghashta KHun-e-dil se suKHan the zaban par

Meer Taqi Meer

aaghashta KHun-e-dil se suKHan the zaban par

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    āġhashta ḳhūn-e-dil se suḳhan the zabān par

    rakkhe na tum ne kaan Tuk is dāstān par

    kuchh ho rahegā ishq-o-havas meñ bhī imtiyāz

    aaya hai ab mizāj tirā imtihān par

    ye dilbarī ke fann-o-fareb itnī umr meñ

    jhuñjhlāhaT ab to aave hai us ke siyān par

    muhtāj kar ḳhudā na nikāle ki juuñ hilāl

    tash.hīr kaun shahr meñ ho pāra-nān par

    dekhā na ham ne chhūT meñ yāqūt kabhū

    thā jo samāñ laboñ ke tire rang-e-pān par

    kyā rahravān-e-rāh-e-mohabbat haiñ turfa log

    aġhmāz karte jaate haiñ ke ziyān par

    pahuñchā na us daad ko majlis meñ koī raat

    maarā bahut patang ne sar sham.a-dān par

    ye chashm-e-shauq turfa jagah hai dikhāv

    Thahro ba-qadr-e-yak-mizha tum is makān par

    bazzāz ke ko dekh ke ḳhirqe bahut phaTe

    baiThā vo is qimāsh se aa kar dukān par

    mauzūñ karo kuchh aur bhī shāyad ki 'mīr'

    rah jaa.e koī baat kisū zabān par

    aaghashta KHun-e-dil se suKHan the zaban par

    rakkhe na tum ne kan Tuk is dastan par

    kuchh ho rahega ishq-o-hawas mein bhi imtiyaz

    aaya hai ab mizaj tera imtihan par

    ye dilbari ke fann-o-fareb itni umr mein

    jhunjhlahaT ab to aawe hai us ke siyan par

    muhtaj kar KHuda na nikale ki jun hilal

    tashhir kaun shahr mein ho para-nan par

    dekha na hum ne chhuT mein yaqut ki kabhu

    tha jo saman labon ke tere rang-e-pan par

    kya rahrawan-e-rah-e-mohabbat hain turfa log

    aghmaz karte jate hain ji ke ziyan par

    pahuncha na us ki dad ko majlis mein koi raat

    mara bahut patang ne sar shama-dan par

    ye chashm-e-shauq turfa jagah hai dikhaw ki

    Thahro ba-qadr-e-yak-mizha tum is makan par

    bazzaz ke ko dekh ke KHirqe bahut phaTe

    baiTha wo is qimash se aa kar dukan par

    mauzun karo kuchh aur bhi shayad ki 'mir' ji

    rah jae koi baat kisu ki zaban par

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0805

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now