aage jo hoga wo hoga KHair kar aaya hun main
aage jo hogā vo hogā ḳhair kar aayā huuñ maiñ
jo zabar bante the un ko zer kar aayā huuñ maiñ
haañ bahut mushkil to hai lekin ye nā-mumkin nahīñ
dard kī tuġhyāniyoñ meñ tair kar aayā huuñ maiñ
mar gayā hai koī mujh meñ us pe miTTī Dāliye
apnī saarī ḳhvāhishoñ ko Dher kar aayā huuñ maiñ
dard vahshat ranj-o-ġham tanhā.iyāñ shām-e-alam
jo mujhe ghere thiiñ un ko gher kar aayā huuñ maiñ
vo jise paane kī hasrat dil meñ muddat se rahī
us ke hī ḳhātir use ab ġhair kar aayā huuñ maiñ
kaam ye āsāñ nahīñ is meñ kaleja chāhiye
ishq kī vaadī se haañ ruḳh pher kar aayā huuñ maiñ
jaane kis kī diid kī hasrat liye dil meñ 'shahāb'
dasht-o-sahrā se bhī aage sair kar aayā huuñ maiñ
aage jo hoga wo hoga KHair kar aaya hun main
jo zabar bante the un ko zer kar aaya hun main
han bahut mushkil to hai lekin ye na-mumkin nahin
dard ki tughyaniyon mein tair kar aaya hun main
mar gaya hai koi mujh mein us pe miTTi Daliye
apni sari KHwahishon ko Dher kar aaya hun main
dard wahshat ranj-o-gham tanhaiyan sham-e-alam
jo mujhe ghere thin un ko gher kar aaya hun main
wo jise pane ki hasrat dil mein muddat se rahi
us ke hi KHatir use ab ghair kar aaya hun main
kaam ye aasan nahin is mein kaleja chahiye
ishq ki wadi se han ruKH pher kar aaya hun main
jaane kis ki did ki hasrat liye dil mein 'shahab'
dasht-o-sahra se bhi aage sair kar aaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.