aage us dar ke rasta kya hai
aage us dar ke rāsta kyā hai
tū nahīñ hai to phir bachā kyā hai
ik sazā sī milī vafā terī
aur is se baḌī sazā kyā hai
maiñ ne māñgī hai ik duā yā-rab
aur mil jaa.e to burā kyā hai
yuuñ to kuchh bhī nahīñ ḳhalāoñ meñ
ek chehra ye chāñd sā kyā hai
merī tanhā.iyoñ meñ gūñjī hai
ye tere naam sī sadā kyā hai
tū hī kah de mirī ḳhatā kyā hai
ye ḳhatā hai to phir vafā kyā hai
aage us dar ke rasta kya hai
tu nahin hai to phir bacha kya hai
ek saza si mili wafa teri
aur is se baDi saza kya hai
main ne mangi hai ek dua ya-rab
aur mil jae to bura kya hai
yun to kuchh bhi nahin KHalaon mein
ek chehra ye chand sa kya hai
meri tanhaiyon mein gunji hai
ye tere nam si sada kya hai
tu hi kah de meri KHata kya hai
ye KHata hai to phir wafa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.