aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin
aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin
Raj Bahadur Saxena Auj
MORE BYRaj Bahadur Saxena Auj
āġhosh-e-ehtiyāt meñ rakh luuñ jigar kahīñ
Dartā huuñ le uḌe na kisī kī nazar kahīñ
ġhurbat meñ ajnabī kā bhī hotā hai ghar kahīñ
din-bhar kahīñ guzāriye yā rāt-bhar kahīñ
aġhyār huuñ kahīñ but-e-shorīda-sar kahīñ
sab kuchh ho aah meñ to ho apnī asar kahīñ
yuuñ uf na bāġh-e-dahr meñ barbādī ho koī
bulbul kā āshiyāñ hai kahīñ bāl-o-par kahīñ
maiñ aaj apnī aah kā kartā huuñ imtihāñ
hoñ āsmāñ zamīn na zer-o-zabar kahīñ
qaid-e-qafas meñ hasrat-e-parvāz kyuuñ rahe
sayyād jo uḌā de mire bāl-o-par kahīñ
rahtī hai un kī yaad mire dil meñ har ghaḌī
'auj' un ke dil meñ kaash ho merā bhī ghar kahīñ
aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin
Darta hun le uDe na kisi ki nazar kahin
ghurbat mein ajnabi ka bhi hota hai ghar kahin
din-bhar kahin guzariye ya raat-bhar kahin
aghyar hun kahin but-e-shorida-sar kahin
sab kuchh ho aah mein to ho apni asar kahin
yun uf na bagh-e-dahr mein barbaadi ho koi
bulbul ka aashiyan hai kahin baal-o-par kahin
main aaj apni aah ka karta hun imtihan
hon aasman zamin na zer-o-zabar kahin
qaid-e-qafas mein hasrat-e-parwaz kyun rahe
sayyaad jo uDa de mere baal-o-par kahin
rahti hai un ki yaad mere dil mein har ghaDi
'auj' un ke dil mein kash ho mera bhi ghar kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.