aaghosh-e-tamanna mein ek lala-e-qatil tha
āġhosh-e-tamanna meñ ik lāla-e-qātil thā
ḳhud se hī laḌā.ī thī ḳhud apne muqābil thā
kal ḳhvāb meñ jo dekhā pahchān nahīñ paayā
vo dost thā dushman thā haq par thā ki bātil thā
vo tiir chalāte the aur us ke nishāne par
kuchh aur nahīñ lekin jo bhī thā mirā dil thā
ham chal ke to aa.e haiñ manzil pe magar yaaro
kyā jānoge tum rasta kis taab se mushkil thā
vo daur-e-mohabbat bhī kitnā thā hasīñ jis meñ
ik chāra-nashīnī thī ik parda-e-mahmil thā
us ‘ālam-e-zindāñ kā kyā haal likhūñ jis meñ
maiñ aap samundar thā maiñ aap hī sāhil thā
dushman se shikāyat bhī maiñ kaise karūñ jabki
sāzish meñ mirā hamdam jī jaan se shāmil thā
uTh kar jo gayā us kā kahte haiñ jahāñ vaale
vo ‘kāvish’-e-bismil thā ik raunaq-e-mahfil thā
aaghosh-e-tamanna mein ek lala-e-qatil tha
KHud se hi laDai thi KHud apne muqabil tha
kal KHwab mein jo dekha pahchan nahin paya
wo dost tha dushman tha haq par tha ki baatil tha
wo tir chalate the aur us ke nishane par
kuchh aur nahin lekin jo bhi tha mera dil tha
hum chal ke to aae hain manzil pe magar yaro
kya jaanoge tum rasta kis tab se mushkil tha
wo daur-e-mohabbat bhi kitna tha hasin jis mein
ek chaara-nashini thi ek parda-e-mahmil tha
us ‘alam-e-zindan ka kya haal likhun jis mein
main aap samundar tha main aap hi sahil tha
dushman se shikayat bhi main kaise karun jabki
sazish mein mera hamdam ji jaan se shamil tha
uTh kar jo gaya us ka kahte hain jahan wale
wo ‘kawish’-e-bismil tha ek raunaq-e-mahfil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.