aah asar ho ga.ī to kyā hogā
be-asar ho ga.ī to kyā hogā
shām-e-ġham aa chale tasavvur meñ
ab sahar ho ga.ī to kyā hogā
vo nazar jis ko hai ḳhabar merī
be-ḳhabar ho ga.ī to kyā hogā
dāstāñ 'ishq kī tavīl to hai
muḳhtasar ho ga.ī to kyā hogā
shab na kaaTe kaTī to hogā kyā
aur basar ho ga.ī to kyā hogā
aah go dil se ham nahīñ karte
kārgar ho ga.ī to kyā hogā
rū-barū un ke chup to huuñ 'bahzād'
aañkh tar ho ga.ī to kyā hogā
aah asar ho gai to kya hoga
be-asar ho gai to kya hoga
sham-e-gham aa chale tasawwur mein
ab sahar ho gai to kya hoga
wo nazar jis ko hai KHabar meri
be-KHabar ho gai to kya hoga
dastan 'ishq ki tawil to hai
muKHtasar ho gai to kya hoga
shab na kaTe kaTi to hoga kya
aur basar ho gai to kya hoga
aah go dil se hum nahin karte
kargar ho gai to kya hoga
ru-baru un ke chup to hun 'bahzad'
aankh tar ho gai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.