aah ban kar dil ke afsane zaban tak aa gae
aah ban kar dil ke afsāne zabāñ tak aa ga.e
aag bhaḌkī thī kahāñ sho'le kahāñ tak aa ga.e
ab to aa jaao ki rusvā ho na jaa.e zarf-e-dil
zabt-e-ġham ke marhale āh-o-fuġhāñ tak aa ga.e
ashk vo jin ko tire ġham se koī nisbat nahīñ
ban ke sho'le dāman-e-umr-e-ravāñ tak aa ga.e
is se baḌh kar aur kyā hogā mohabbat kā sila
mere ġham ke tazkire un kī zabāñ tak aa ga.e
ai ḳhudā-e-hashr itmām-e-karam meñ der kyā
terā manshā thā jahāñ tak ham vahāñ tak aa ga.e
naqsh-e-pā shams-o-qamar aur kahkashāñ gard-e-safar
kis kī dhun meñ ham makāñ se lā-makāñ tak aa ga.e
tere dar par jis ke sajdoñ ko milā husn-e-qubūl
us ke dar par sar jhukāne āsmāñ tak aa ga.e
miT gayā kotāhī-e-barq-e-tapāñ kā sab gila
ātish-e-gul ke sharāre āshiyāñ tak aa ga.e
muddatoñ dair-o-haram kī Thokareñ khā kar 'tufail'
bahr-e-sajda ham dar-e-pīr-e-muġhāñ tak aa ga.e
aah ban kar dil ke afsane zaban tak aa gae
aag bhaDki thi kahan sho'le kahan tak aa gae
ab to aa jao ki ruswa ho na jae zarf-e-dil
zabt-e-gham ke marhale aah-o-fughan tak aa gae
ashk wo jin ko tere gham se koi nisbat nahin
ban ke sho'le daman-e-umr-e-rawan tak aa gae
is se baDh kar aur kya hoga mohabbat ka sila
mere gham ke tazkire un ki zaban tak aa gae
ai KHuda-e-hashr itmam-e-karam mein der kya
tera mansha tha jahan tak hum wahan tak aa gae
naqsh-e-pa shams-o-qamar aur kahkashan gard-e-safar
kis ki dhun mein hum makan se la-makan tak aa gae
tere dar par jis ke sajdon ko mila husn-e-qubul
us ke dar par sar jhukane aasman tak aa gae
miT gaya kotahi-e-barq-e-tapan ka sab gila
aatish-e-gul ke sharare aashiyan tak aa gae
muddaton dair-o-haram ki Thokaren kha kar 'tufail'
bahr-e-sajda hum dar-e-pir-e-mughan tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.