aah be-tasir hai nala rasa koi nahin
aah be-tāsīr hai naala rasā koī nahīñ
dard vo mujh ko milā jis kī davā koī nahīñ
dekhtā huuñ raah meñ muḌ muḌ ke har chehre ko maiñ
ham-safar kitne haiñ lekin ham-navā koī nahīñ
is se baḌh kar aur kyā hogā azāb-e-zindagī
aañkh sab rakhte haiñ lekin dekhtā koī nahīñ
paḌhte haiñ is daur ke arbāb-e-dānish roz-o-shab
vo sahīfe jin meñ ki bāb-e-duā koī nahīñ
vaqt par jo kaam aa jaa.e use achchhā kaho
ai dil-e-muztar yahāñ achchhā burā koī nahīñ
āgahī ke zo.am meñ kitne banā Daale the ruup
ab khulā ki apnā hī nām-o-pata koī nahīñ
tarjumān-e-ḳhār-o-ḳhas 'ahmad' hai pūchho un kā haal
lāla-o-gul ke jahāñ se vāsta koī nahīñ
aah be-tasir hai nala rasa koi nahin
dard wo mujh ko mila jis ki dawa koi nahin
dekhta hun rah mein muD muD ke har chehre ko main
ham-safar kitne hain lekin ham-nawa koi nahin
is se baDh kar aur kya hoga azab-e-zindagi
aankh sab rakhte hain lekin dekhta koi nahin
paDhte hain is daur ke arbab-e-danish roz-o-shab
wo sahife jin mein ki bab-e-dua koi nahin
waqt par jo kaam aa jae use achchha kaho
ai dil-e-muztar yahan achchha bura koi nahin
aagahi ke zoam mein kitne bana Dale the rup
ab khula ki apna hi nam-o-pata koi nahin
tarjuman-e-KHar-o-KHas 'ahmad' hai puchho un ka haal
lala-o-gul ke jahan se wasta koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.