aah dil par asar na ho jae
aah dil par asar na ho jaa.e
husn kī aañkh tar na ho jaa.e
dāġh-e-dil kī taraqqīyāñ tauba
ye sitāra qamar na ho jaa.e
āshiyāñ to banā rahā huuñ magar
bijliyoñ ko ḳhabar na ho jaa.e
Dar hai gulshan kā āshiyāñ kā nahīñ
nazr-e-barq-o-sharar na ho jaa.e
rāz-e-dil is liye nahīñ kahtā
ishq nā-mo'tabar na ho jaa.e
dil se un ko bhulā to duuñ lekin
zindagī talḳh-tar na ho jaa.e
aate aate qarīb manzil ke
bad-gumāñ rāhbar na ho jaa.e
shaam aisī nahīñ koī 'aḳhtar'
jis kī paidā sahar na ho jaa.e
aah dil par asar na ho jae
husn ki aankh tar na ho jae
dagh-e-dil ki taraqqiyan tauba
ye sitara qamar na ho jae
aashiyan to bana raha hun magar
bijliyon ko KHabar na ho jae
Dar hai gulshan ka aashiyan ka nahin
nazr-e-barq-o-sharar na ho jae
raaz-e-dil is liye nahin kahta
ishq na-mo'tabar na ho jae
dil se un ko bhula to dun lekin
zindagi talKH-tar na ho jae
aate aate qarib manzil ke
bad-guman rahbar na ho jae
sham aisi nahin koi 'aKHtar'
jis ki paida sahar na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.