aah duniya sara-e-fani hai
aah duniyā sarā-e-fānī hai
kis qadar muḳhtasar kahānī hai
ḳhud ko detā huuñ muskurā ke fareb
dil magar vaqf-e-nauha-ḳhvānī hai
mujh se hañs-bol leñ mire sāthī
ab koī din kī zindagānī hai
mausam-e-gul meñ vo jo aan mileñ
ham bhī jāneñ ki rut suhānī hai
be-sabab to nahīñ bahe aañsū
aañsū aañsū meñ ik kahānī hai
ik sarāpā ki ranj-o-yās haiñ ham
dard-e-dil monis-e-javānī hai
muskurā.ūñ maiñ kis tarah 'altāf'
taak meñ daur-e-āsmānī hai
aah duniya sara-e-fani hai
kis qadar muKHtasar kahani hai
KHud ko deta hun muskura ke fareb
dil magar waqf-e-nauha-KHwani hai
mujh se hans-bol len mere sathi
ab koi din ki zindagani hai
mausam-e-gul mein wo jo aan milen
hum bhi jaanen ki rut suhani hai
be-sabab to nahin bahe aansu
aansu aansu mein ek kahani hai
ek sarapa ki ranj-o-yas hain hum
dard-e-dil monis-e-jawani hai
muskuraun main kis tarah 'altaf'
tak mein daur-e-asmani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.