aah ka kuchh asar nahin hota
aah kā kuchh asar nahīñ hotā
mehrbāñ fitna-gar nahīñ hotā
ġhair kā kyā gila mohabbat meñ
e.atibār aap par nahīñ hotā
zabt ne multafit kiyā hai unheñ
aah meñ ye asar nahīñ hotā
vo fusūñ kar ga.ī kisī kī nazar
duur jis kā asar nahīñ hotā
ḳhud sikhātā hai ishq jaur-o-sitam
husn bedād-gar nahīñ hotā
ho kisī haal meñ bhī dil apnā
aap se be-ḳhabar nahīñ hotā
zaḳhm teġh-e-zabāñ kā 'āshufta'
mundamil umr bhar nahīñ hotā
aah ka kuchh asar nahin hota
mehrban fitna-gar nahin hota
ghair ka kya gila mohabbat mein
eatibar aap par nahin hota
zabt ne multafit kiya hai unhen
aah mein ye asar nahin hota
wo fusun kar gai kisi ki nazar
dur jis ka asar nahin hota
KHud sikhata hai ishq jaur-o-sitam
husn bedad-gar nahin hota
ho kisi haal mein bhi dil apna
aap se be-KHabar nahin hota
zaKHm tegh-e-zaban ka 'ashufta'
mundamil umr bhar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.