aah karna dil-e-hazin na kahin
aah karnā dil-e-hazīñ na kahīñ
aag lag jā.egī kahīñ na kahīñ
mire dil se nikal ke duniyā meñ
chain se hasrateñ rahīñ na kahīñ
be-hijābī nigāh-e-ulfat kī
dekhe vo sharmgīñ kahīñ na kahīñ
aa ga.e lab pe dil-nashīñ naale
jā hī pahuñcheñge ab kahīñ na kahīñ
ham samajhte haiñ hazrat-e-'beḳhud'
choT khā aa.e ho kahīñ na kahīñ
aah karna dil-e-hazin na kahin
aag lag jaegi kahin na kahin
mere dil se nikal ke duniya mein
chain se hasraten rahin na kahin
be-hijabi nigah-e-ulfat ki
dekhe wo sharmgin kahin na kahin
aa gae lab pe dil-nashin nale
ja hi pahunchenge ab kahin na kahin
hum samajhte hain hazrat-e-'beKHud'
choT kha aae ho kahin na kahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 186)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.