aah lab tak dil-e-nakaam na aane pae
aah lab tak dil-e-nākām na aane paa.e
zabt-e-ġham par koī ilzām na aane paa.e
maiñ sunātā to huuñ rūdād-e-mohabbat lekin
darmiyāñ meñ jo tirā naam na aa.e paa.e
tum ne chāhā bhī to kyā dushman-e-rāhat ban kar
koī duniyā meñ mire kaam na aane paa.e
mahfil-e-ishq meñ chhā jā.egā ik sannāTā
yuuñ taḌaptā huuñ ki ārām na aane paa.e
dekh paa.e na sitāroñ kī nazar bhī tum ko
aao is tarah ki ilzām na aane paa.e
manzil-e-shauq meñ kahtā hai junūñ mujh se 'adīb'
dil meñ andesha-e-anjām na aane paa.e
aah lab tak dil-e-nakaam na aane pae
zabt-e-gham par koi ilzam na aane pae
main sunata to hun rudad-e-mohabbat lekin
darmiyan mein jo tera nam na aae pae
tum ne chaha bhi to kya dushman-e-rahat ban kar
koi duniya mein mere kaam na aane pae
mahfil-e-ishq mein chha jaega ek sannaTa
yun taDapta hun ki aaram na aane pae
dekh pae na sitaron ki nazar bhi tum ko
aao is tarah ki ilzam na aane pae
manzil-e-shauq mein kahta hai junun mujh se 'adib'
dil mein andesha-e-anjam na aane pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.