aah lab tak dil-e-nakaam na aane pae
aah lab tak dil-e-nākām na aane paa.e
azmat-e-ishq pe ilzām na aane paa.e
ham se qaa.em tire maiḳhāne kī azmat saaqī
aur ham tak hī koī jaam na aane paa.e
zer-e-tartīb hai tārīḳh-e-rivāyāt-e-vatan
hukm hai is meñ mirā naam na aane paa.e
terī āñkhoñ ke agar hoñ na ishāre saaqī
jaam meñ bāda-e-gulfām na aane paa.e
muzhda ai ahl-e-chaman aa to ga.ī sub.h-e-bahār
ab zarūrat hai ki phir shaam na aane paa.e
dil-shikan yuuñ to hai anjām-e-mohabbat lekin
dil meñ andesha-e-anjām na aane paa.e
hai talabgār-e-masarrat to zabāñ par ai dost
shikva-e-gardish-e-ayyām na aane paa.e
pī ke thoḌī sī bahak jaatā hai saaqī ne kahā
bazm meñ ‘aḳhtar’-e-badnām na aane paa.e
aah lab tak dil-e-nakaam na aane pae
azmat-e-ishq pe ilzam na aane pae
hum se qaem tere maiKHane ki azmat saqi
aur hum tak hi koi jam na aane pae
zer-e-tartib hai tariKH-e-riwayat-e-watan
hukm hai is mein mera nam na aane pae
teri aankhon ke agar hon na ishaare saqi
jam mein baada-e-gulfam na aane pae
muzhda ai ahl-e-chaman aa to gai subh-e-bahaar
ab zarurat hai ki phir sham na aane pae
dil-shikan yun to hai anjam-e-mohabbat lekin
dil mein andesha-e-anjam na aane pae
hai talabgar-e-masarrat to zaban par ai dost
shikwa-e-gardish-e-ayyam na aane pae
pi ke thoDi si bahak jata hai saqi ne kaha
bazm mein ‘aKHtar’-e-badnam na aane pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.