aah nikle na ab sada nikle
aah nikle na ab sadā nikle
haath uTThe to bas duā nikle
ashk āñkhoñ kī hai vafādārī
jo na chhalke to bevafā nikle
tum na majnūñ ho na koī lailā
ishq-e-umr-e-darāz kyā nikle
aañkh Dartī hai ab ḳhayāloñ se
ḳhvāb koī na phir burā nikle
roz patthar tarāshtā hī rahā
shāyad un meñ kabhī sadā nikle
is liye chup huuñ ḳhāksārī meñ
kyā pata ghar kā hī diyā nikle
ḳhaak jab bhī uḌe galī meñ tire
maiñ jalūñ aur bas dhuāñ nikle
Dūbne ko safīna hai merā
kaash koī to ab duā nikle
yā ḳhudā tañg aa gayā huuñ maiñ
dard nikle na kuchh davā nikle
'pyāsā' nā-vāqifoñ kī bastī meñ
DhūñDhtā huuñ koī sagā nikle
aah nikle na ab sada nikle
hath uTThe to bas dua nikle
ashk aankhon ki hai wafadari
jo na chhalke to bewafa nikle
tum na majnun ho na koi laila
ishq-e-umr-e-daraaz kya nikle
aankh Darti hai ab KHayalon se
KHwab koi na phir bura nikle
roz patthar tarashta hi raha
shayad un mein kabhi sada nikle
is liye chup hun KHaksari mein
kya pata ghar ka hi diya nikle
KHak jab bhi uDe gali mein tere
main jalun aur bas dhuan nikle
Dubne ko safina hai mera
kash koi to ab dua nikle
ya KHuda tang aa gaya hun main
dard nikle na kuchh dawa nikle
'pyasa' na-waqifon ki basti mein
DhunDhta hun koi saga nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.