aah-o-girya mein kahan tasir hai
āh-o-giryā meñ kahāñ tāsīr hai
zabt meñ hī ashkoñ kī tauqīr hai
ho ga.e yaksāñ udāsī aur maiñ
ek sūrat ek sī tasvīr hai
jo mirī sāñsoñ kī sīlan sokh le
kyā koī shai itnī bhī nam-gīr hai
ġham mirī qismat hai maiñ ġham kā nasīb
apnī apnī donoñ kī taqdīr hai
ek mehvar par azal se mahv-e-raqs
ye zamīñ bhī koī suufī piir hai
raat bhar āñkhoñ ne likkhā ek ḳhvāb
ye ġhazal us ḳhvāb kī ta.abīr hai
aah-o-girya mein kahan tasir hai
zabt mein hi ashkon ki tauqir hai
ho gae yaksan udasi aur main
ek surat ek si taswir hai
jo meri sanson ki silan sokh le
kya koi shai itni bhi nam-gir hai
gham meri qismat hai main gham ka nasib
apni apni donon ki taqdir hai
ek mehwar par azal se mahw-e-raqs
ye zamin bhi koi sufi pir hai
raat bhar aankhon ne likkha ek KHwab
ye ghazal us KHwab ki tabir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.