aah-o-nala hai ashk-bari hai
āh-o-nāla hai ashk-bārī hai
hijr meñ shakl ye hamārī hai
sub.h-e-vasl ab nasīb ho ki na ho
hijr kī raat ham pe bhārī hai
mar-miTe ham to tum pe aur tumheñ
aaj tak ham se parda-dārī hai
terī shamshīr-e-hijr kā qātil
dil-e-āshiq pe zaḳhm-e-kārī hai
un kī jānib se hai ġhurūr-e-sitam
merī jānib se inkisārī hai
haiñ jo sarshār-e-bāda-e-ulfat
un kī azmat bhī hoshiyārī hai
qatl-e-ushshāq ke liye qātil
nigah-e-nāz kī kaTārī hai
bosa apnī jabīñ kā deñ vo hameñ
aisī qismat kahāñ hamārī hai
shaam se hijr-e-yār meñ tā-sub.h
ham ne ro ro ke shab guzārī hai
be-hijābī hai terī dushman se
aur āshiq se parda-dārī hai
aap ke husn kī malāhat se
paanī chāh-e-zaqan kā khārī hai
ḳhat-e-ruḳhsār-e-yār ai 'sābir'
bāġh-e-jannat kī sabz kyārī hai
aah-o-nala hai ashk-bari hai
hijr mein shakl ye hamari hai
subh-e-wasl ab nasib ho ki na ho
hijr ki raat hum pe bhaari hai
mar-miTe hum to tum pe aur tumhein
aaj tak hum se parda-dari hai
teri shamshir-e-hijr ka qatil
dil-e-ashiq pe zaKHm-e-kari hai
un ki jaanib se hai ghurur-e-sitam
meri jaanib se inkisari hai
hain jo sarshaar-e-baada-e-ulfat
un ki azmat bhi hoshiyari hai
qatl-e-ushshaq ke liye qatil
nigah-e-naz ki kaTari hai
bosa apni jabin ka den wo hamein
aisi qismat kahan hamari hai
sham se hijr-e-yar mein ta-subh
hum ne ro ro ke shab guzari hai
be-hijabi hai teri dushman se
aur aashiq se parda-dari hai
aap ke husn ki malahat se
pani chah-e-zaqan ka khaari hai
KHat-e-ruKHsar-e-yar ai 'sabir'
bagh-e-jannat ki sabz kyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.