aah se jab dil meñ Duube tiir ubhāre jā.eñge
dekh lenā duur tak uḌ kar sharāre jā.eñge
mauj-e-tūfāñ ko jinhoñ ne chīrnā sīkhā nahīñ
is kināre se bhalā kyā us kināre jā.eñge
utnī hī rañgīn hotī jā.egī apnī nazar
jis qadar tere tasavvur ko sañvāre jā.eñge
kuchh na kuchh ho hī rahegā dard-mandī kā ma.aal
jaan ke dushman tujhī ko ham pukāre jā.eñge
ḳhaak ho kar bhī na aa.egā unheñ dam bhar qarār
uTh ke tere dar se jo aafat ke maare jā.eñge
ek harf-e-dil-nashīñ! ye bhī nahīñ to ik nigāh
duur jaane vaale kyūñ-kar be-sahāre jā.eñge
baiThe sāhil par ginā karte haiñ jo lahreñ 'asar'
vaqt paḌne par bhalā kyā dhāre dhāre jā.eñge
aah se jab dil mein Dube tir ubhaare jaenge
dekh lena dur tak uD kar sharare jaenge
mauj-e-tufan ko jinhon ne chirna sikha nahin
is kinare se bhala kya us kinare jaenge
utni hi rangin hoti jaegi apni nazar
jis qadar tere tasawwur ko sanware jaenge
kuchh na kuchh ho hi rahega dard-mandi ka maal
jaan ke dushman tujhi ko hum pukare jaenge
KHak ho kar bhi na aaega unhen dam bhar qarar
uTh ke tere dar se jo aafat ke mare jaenge
ek harf-e-dil-nashin! ye bhi nahin to ek nigah
dur jaane wale kyun-kar be-sahaare jaenge
baiThe sahil par gina karte hain jo lahren 'asar'
waqt paDne par bhala kya dhaare dhaare jaenge
Source :
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 58)
- Author : Farooq Argali
-
Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
(2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.