aah wo kaun tha KHuda mara
aah vo kaun thā ḳhudā maarā
jis ne us se mujhe lagā maarā
kyā ġhazab thī vo jumbish-e-abrū
saaf jaise ki nīmchā maarā
ba.ad muddat mile the kal un se
aaj logoñ ne phir lagā maarā
vasl kī shab bhī maiñ na soyā aah
roz-e-hijr un ke ḳhauf kā maarā
pā ke marzī khulā jo bātoñ meñ
ye hañsāyā ki bas luTā maarā
jins-e-sabr-o-ḳhirad luTe 'mārūf'
mulk-e-dil fauj-e-ġham ne aa maarā
aah wo kaun tha KHuda mara
jis ne us se mujhe laga mara
kya ghazab thi wo jumbish-e-abru
saf jaise ki nimcha mara
baad muddat mile the kal un se
aaj logon ne phir laga mara
wasl ki shab bhi main na soya aah
roz-e-hijr un ke KHauf ka mara
pa ke marzi khula jo baaton mein
ye hansaya ki bas luTa mara
jins-e-sabr-o-KHirad luTe 'maruf'
mulk-e-dil fauj-e-gham ne aa mara
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.