aah zaKHmi hai dil shikasta hai
aah zaḳhmī hai dil shikasta hai
haa.e āñkhoñ se ḳhuuñ barastā hai
ho ga.ī haiñ lahū lahū sāñseñ
ruuh ko aa ke koī Dastā hai
aa gayā hai to jā nahīñ saktā
dil key duniyā meñ koī bastā hai
farq koī nahīñ hai donoñ meñ
zindagī maut hī kā rasta hai
saarī duniyā meñ mahñgā hai paanī
ḳhuuñ zamāne meñ aaj sastā hai
laash apnī liye bhaTaktā huuñ
jism hai ruuh ko tarastā hai
ek dil hī nahīñ hai ai 'tauqīr'
ruuh zaḳhmī hai jism ḳhasta hai
aah zaKHmi hai dil shikasta hai
hae aankhon se KHun barasta hai
ho gai hain lahu lahu sansen
ruh ko aa ke koi Dasta hai
aa gaya hai to ja nahin sakta
dil key duniya mein koi basta hai
farq koi nahin hai donon mein
zindagi maut hi ka rasta hai
sari duniya mein mahnga hai pani
KHun zamane mein aaj sasta hai
lash apni liye bhaTakta hun
jism hai ruh ko tarasta hai
ek dil hi nahin hai ai 'tauqir'
ruh zaKHmi hai jism KHasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.