aahang nai rut ka mila sham se pahle
āhañg na.ī rut kā milā shaam se pahle
tab maiñ ne bhī ik sher kahā shaam se pahle
ai chāragaro raat kī poshāk utāro
mahsūs karo dard mirā shaam se pahle
us ghar kī tabāhī pe bahut TuuT ke ro.e
vo jis kā darīcha na khulā shaam se pahle
jab jab bhī zarūrat ke taqāze na hoñ puure
Dar lagtā hai har roz nayā shaam se pahle
dillī meñ aur is dil meñ koī farq nahīñ hai
ujḌā hai ujāle meñ luTā shaam se pahle
dushman hī nahīñ yāroñ ke chehre bhī the utre
jab maiñ ne tirā naam liyā shaam se pahle
aahang nai rut ka mila sham se pahle
tab main ne bhi ek sher kaha sham se pahle
ai chaaragaro raat ki poshak utaro
mahsus karo dard mera sham se pahle
us ghar ki tabahi pe bahut TuT ke roe
wo jis ka daricha na khula sham se pahle
jab jab bhi zarurat ke taqaze na hon pure
Dar lagta hai har roz naya sham se pahle
dilli mein aur is dil mein koi farq nahin hai
ujDa hai ujale mein luTa sham se pahle
dushman hi nahin yaron ke chehre bhi the utre
jab main ne tera nam liya sham se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.