aahaT bhi agar ki to tah-e-zat nahin ki
aahaT bhī agar kī to tah-e-zāt nahīñ kī
lafzoñ ne ka.ī din se koī baat nahīñ kī
iz.hār na āñkheñ na tahakkum na qarīna
lahje ne bhī arse se mulāqāt nahīñ kī
isrār thā māthe pe na āñkhoñ meñ namī thī
tum ne to ri.āyat bhī mire saath nahīñ kī
tartīb diyā us ke liye shor-e-anā ko
ham ne bhī ka.ī din se bahut raat nahīñ kī
do chaar havāoñ ke qadam dhuup ke chhīñTe
'jāved' ne sheroñ meñ na.ī baat nahīñ kī
aahaT bhi agar ki to tah-e-zat nahin ki
lafzon ne kai din se koi baat nahin ki
izhaar na aankhen na tahakkum na qarina
lahje ne bhi arse se mulaqat nahin ki
israr tha mathe pe na aankhon mein nami thi
tum ne to riayat bhi mere sath nahin ki
tartib diya us ke liye shor-e-ana ko
hum ne bhi kai din se bahut raat nahin ki
do chaar hawaon ke qadam dhup ke chhinTe
'jawed' ne sheron mein nai baat nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.