aahaT har su jag uThi hai
aahaT har sū jaag uThī hai
kyā ḳhushbū muñh moḌ chalī hai
khiḌkī par dīvānī dastak
jaane kis ko pūchh rahī hai
āñkhoñ meñ kyā jhāñk rahe ho
ḳhvāboñ kī rut biit ga.ī hai
barsoñ pahle kī sargoshī
kānoñ meñ ras ghol rahī hai
naach uThā hai ḳhuun ragoñ meñ
āñkhoñ se jab baat huī hai
naġhma naġhma siskī siskī
maazī kī tasvīr milī hai
phuul ke dāman meñ aañsū haiñ
jaane kaise raat kaTī hai
aahaT har su jag uThi hai
kya KHushbu munh moD chali hai
khiDki par diwani dastak
jaane kis ko puchh rahi hai
aankhon mein kya jhank rahe ho
KHwabon ki rut bit gai hai
barson pahle ki sargoshi
kanon mein ras ghol rahi hai
nach uTha hai KHun ragon mein
aankhon se jab baat hui hai
naghma naghma siski siski
mazi ki taswir mili hai
phul ke daman mein aansu hain
jaane kaise raat kaTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.