aahaTen taza muqaddar ki taraf
āhaTeñ taaza muqaddar kī taraf
ā.inoñ ke dhyān patthar kī taraf
vasvase sīna-sipar maujūd se
vāhime kī pusht ḳhanjar kī taraf
shīsha shīsha ḳhauf har chehre pe naqsh
ik nishāna saikḌoñ sar kī taraf
haal par dushman kī poshīda-ruḳhī
aa.ina raushan sikandar kī taraf
muskurā kar ābla-tan baḌh ga.e
ḳhaar ke surḳhāb bistar kī taraf
raushnī bāhar baḌī tezāb hai
qatra qatra aañkh manzar kī taraf
sarvarī thī nok-e-pā-e-ḳhāksār
jā paḌī dastār-e-ḳhud-sar kī taraf
aahaTen taza muqaddar ki taraf
aainon ke dhyan patthar ki taraf
waswase sina-sipar maujud se
wahime ki pusht KHanjar ki taraf
shisha shisha KHauf har chehre pe naqsh
ek nishana saikDon sar ki taraf
haal par dushman ki poshida-ruKHi
aaina raushan sikandar ki taraf
muskura kar aabla-tan baDh gae
KHar ke surKHab bistar ki taraf
raushni bahar baDi tezab hai
qatra qatra aankh manzar ki taraf
sarwari thi nok-e-pa-e-KHaksar
ja paDi dastar-e-KHud-sar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.