aaheñ muñh se mire nikalne do
dard meñ karvaTeñ badalne do
qafas-e-jism se nikalne do
murġh-e-jāñ kā bhī dil bahalne do
rone vaale jahān ke rote haiñ
mere aañsū bhī kuchh nikalne do
ġhusse ke vaqt ġhaiz bhī karnā
muñh se kuchh baat to nikalne do
sab to qaideñ thiiñ zindagī kaisī
dam ko to jism se nikalne do
mehñdī malte ho tum jo ġhairoñ meñ
kaf-e-afsos ham ko malne do
zinde murde to murde zinda hoñ
fitna-e-hashr ko to chalne do
chūñTe hāthoñ se kyoñ chhuḌāte ho
mār-e-gesū kā sar kuchalne do
dil pisegā ḳhud un kā misl-e-hinā
laash kushtoñ kī to kuchalne do
bose seb-e-zaqan ke do ham ko
shajar-e-ārzū ko phalne do
haal kahtā huuñ be-qarāroñ kā
dil-e-betāb ko sañbhalne do
dil hadaf hoñge āsmānoñ ke
nāvak-e-āh ko to chalne do
na karo tark shaġhl-e-bos-o-kanār
do ghaḌī dil zarā bahalne do
lākhoñ hoñge usī adā se shahīd
le ke talvār to Tahalne do
bose ruk ruk ke do na vaslat meñ
dil ke armān to nikalne do
dam bhī ho jā.egā havā merā
muñh se hū to mire nikalne do
hashr barpā kareñge dīvāne
ik zarā qabr se nikalne do
shauq se chāk-chāk dil ko karo
teġh-e-abrū kā vaar chalne do
lauTte hoñge saikḌoñ bismil
kū-e-qātil meñ teġh chalne do
dekho kahtā huuñ hāl-e-dard-e-jigar
ik zarā dil ko to sañbhalne do
mere pahlū meñ bhī kabhī hoge
dahr ko karvaTeñ badalne do
halq rakkheñge dauḌ kar mushtāq
teġh kāThī se to nikalne do
bosa dete hī phir paḌegā tumheñ
dil-e-nādāñ ko to machalne do
sang rakho na merī chhātī par
qabr meñ karvaTeñ badalne do
'fāḳhir' ashkoñ se kyoñ bujhāte ho
āh-e-sozāñ se dil ko jalne do
aahen munh se mere nikalne do
dard mein karwaTen badalne do
qafas-e-jism se nikalne do
murgh-e-jaan ka bhi dil bahalne do
rone wale jahan ke rote hain
mere aansu bhi kuchh nikalne do
ghusse ke waqt ghaiz bhi karna
munh se kuchh baat to nikalne do
sab to qaiden thin zindagi kaisi
dam ko to jism se nikalne do
mehndi malte ho tum jo ghairon mein
kaf-e-afsos hum ko malne do
zinde murde to murde zinda hon
fitna-e-hashr ko to chalne do
chunTe hathon se kyon chhuDate ho
mar-e-gesu ka sar kuchalne do
dil pisega KHud un ka misl-e-hina
lash kushton ki to kuchalne do
bose seb-e-zaqan ke do hum ko
shajar-e-arzu ko phalne do
haal kahta hun be-qararon ka
dil-e-betab ko sanbhalne do
dil hadaf honge aasmanon ke
nawak-e-ah ko to chalne do
na karo tark shaghl-e-bos-o-kanar
do ghaDi dil zara bahalne do
lakhon honge usi ada se shahid
le ke talwar to Tahalne do
bose ruk ruk ke do na waslat mein
dil ke arman to nikalne do
dam bhi ho jaega hawa mera
munh se hu to mere nikalne do
hashr barpa karenge diwane
ek zara qabr se nikalne do
shauq se chaak-chaak dil ko karo
tegh-e-abru ka war chalne do
lauTte honge saikDon bismil
ku-e-qatil mein tegh chalne do
dekho kahta hun haal-e-dard-e-jigar
ek zara dil ko to sanbhalne do
mere pahlu mein bhi kabhi hoge
dahr ko karwaTen badalne do
halq rakkhenge dauD kar mushtaq
tegh kaThi se to nikalne do
bosa dete hi phir paDega tumhein
dil-e-nadan ko to machalne do
sang rakho na meri chhati par
qabr mein karwaTen badalne do
'faKHir' ashkon se kyon bujhate ho
aah-e-sozan se dil ko jalne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.