aahista-KHirami sahi aa jae to behtar
aahista-KHirami sahi aa jae to behtar
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
āhista-ḳhirāmī sahī aa jaa.e to behtar
āñkhoñ meñ koī mere samā jaa.e to behtar
āvāra-nigāhī use kyoñ DhūñD rahī hai
jazba ye samajh meñ mirī aa jaa.e to behtar
ye merā safīna hai kahāñ jā ke lagegā
bahtā huā sāhil koī aa jaa.e to behtar
charchā hai bahut husn kā us shaḳhs ke lekin
vo ek jhalak apnī dikhā jaa.e to behtar
qissa na abhī chheḌ sabā lāla-o-gul kā
vo jān-e-bahār aise meñ aa jaa.e to behtar
aahista-KHirami sahi aa jae to behtar
aankhon mein koi mere sama jae to behtar
aawara-nigahi use kyon DhunD rahi hai
jazba ye samajh mein meri aa jae to behtar
ye mera safina hai kahan ja ke lagega
bahta hua sahil koi aa jae to behtar
charcha hai bahut husn ka us shaKHs ke lekin
wo ek jhalak apni dikha jae to behtar
qissa na abhi chheD saba lala-o-gul ka
wo jaan-e-bahaar aise mein aa jae to behtar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.