aahon ke silsile mere sine mein gaD kar
aahon ke silsile mere sine mein gaD kar
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
aahoñ ke silsile mire siine meñ gaaḌ kar
vo le gayā hai jism se dil ko ukhāḌ kar
maiñ huuñ burā to kyā sabhī achchhoñ meñ haiñ shumār
har tanz ko maiñ rakhtā huuñ aksar pachhāḌ kar
rahne de muztarib mujhe 'ishq-e-zalīl meñ
rāteñ tavīl kar sabhī din ko pahāḌ kar
ik bosa sabt karne kā e'lān kar diyā
hoñToñ kā jis ne rakh diyā huliya bigāḌ kar
ab ḳhaak ho na jaa.eñ tamannā.eñ vasl kī
jismoñ ke darmiyāñ nahīñ itnī darāḌ kar
rātoñ ko pūchhtī hai talab mujh se ye savāl
kyoñ hijr ne rakhā mire ghar ko ujaaḌ kar
patthar ke jism meñ nahīñ 'aḳhtar' bachā hai kuchh
kyā fā.eda hai jism ko ab chheḌ chhāḌ kar
aahon ke silsile mere sine mein gaD kar
wo le gaya hai jism se dil ko ukhaD kar
main hun bura to kya sabhi achchhon mein hain shumar
har tanz ko main rakhta hun aksar pachhaD kar
rahne de muztarib mujhe 'ishq-e-zalil mein
raaten tawil kar sabhi din ko pahaD kar
ek bosa sabt karne ka e'lan kar diya
honTon ka jis ne rakh diya huliya bigaD kar
ab KHak ho na jaen tamannaen wasl ki
jismon ke darmiyan nahin itni daraD kar
raaton ko puchhti hai talab mujh se ye sawal
kyon hijr ne rakha mere ghar ko ujaD kar
patthar ke jism mein nahin 'aKHtar' bacha hai kuchh
kya faeda hai jism ko ab chheD chhaD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.