aai aankhon mein to aankhon ko sitara kar gai
aa.ī āñkhoñ meñ to āñkhoñ ko sitāra kar ga.ī
us kī sūrat zulmat-e-shab meñ ujālā kar ga.ī
dāstānoñ kī zabāñ the barg-hā-e-ḳhushk-o-tar
aur ye zālim havā peḌoñ ko nangā kar ga.ī
manzaroñ kī hairatoñ ko dekhne kā shauq meñ
aañkh is darja khulī merī ki andhā kar ga.ī
har taraf is shahr meñ sab ke garebāñ chaak haiñ
us kī ḳhush-ruī 'ajab ab ke tamāshā kar ga.ī
ek nā-mā'lūm ḳhvāhish zehn-o-dil ke darmiyāñ
saañp kī mānind ubhrī jism niilā kar ga.ī
ik kiran ḳhurshīd kī utrī shafaq ke baam se
us ke yāqūtī laboñ ko aa ke sajda kar ga.ī
ik havā aisī bhī aa.ī jo zamīn-e-'ishq par
dil ke sab bikhre hue aurāq yakjā kar ga.ī
phir makān-e-dil ke har goshe meñ hangāma huā
phir makīnoñ ko tumhārī yaad dahlā kar ga.ī
aai aankhon mein to aankhon ko sitara kar gai
us ki surat zulmat-e-shab mein ujala kar gai
dastanon ki zaban the barg-ha-e-KHushk-o-tar
aur ye zalim hawa peDon ko nanga kar gai
manzaron ki hairaton ko dekhne ka shauq mein
aankh is darja khuli meri ki andha kar gai
har taraf is shahr mein sab ke gareban chaak hain
us ki KHush-rui 'ajab ab ke tamasha kar gai
ek na-ma'lum KHwahish zehn-o-dil ke darmiyan
sanp ki manind ubhri jism nila kar gai
ek kiran KHurshid ki utri shafaq ke baam se
us ke yaquti labon ko aa ke sajda kar gai
ek hawa aisi bhi aai jo zamin-e-'ishq par
dil ke sab bikhre hue auraq yakja kar gai
phir makan-e-dil ke har goshe mein hangama hua
phir makinon ko tumhaari yaad dahla kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.