aai bahaaren mahka gulshan
aa.ī bahāreñ mahkā gulshan
kaliyāñ chaTkīñ murjhāyā man
man hī man meñ yaad ke jhūle
āñkhoñ āñkhoñ barse sāvan
har taarā hai ik chingārī
raat añdherī kaalī nāgan
har dastoñ meñ un kī mūrat
zarra zarra jaise darpan
dil meñ baseñ āñkhoñ meñ birājeñ
ghar hai jis kā us kā āñgan
jitnī pag se duur hai dhartī
itne man ke paas haiñ sājan
aas nirās ke sab dhoke meñ
kaisī duurī kaisā darshan
kis kā shikva kījiye 'ashraf'
apnā man hai apnā dushman
aai bahaaren mahka gulshan
kaliyan chaTkin murjhaya man
man hi man mein yaad ke jhule
aankhon aankhon barse sawan
har tara hai ek chingari
raat andheri kali nagan
har daston mein un ki murat
zarra zarra jaise darpan
dil mein basen aankhon mein birajen
ghar hai jis ka us ka aangan
jitni pag se dur hai dharti
itne man ke pas hain sajan
aas niras ke sab dhoke mein
kaisi duri kaisa darshan
kis ka shikwa kijiye 'ashraf'
apna man hai apna dushman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.