aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki
aa.ī hai ab yaad kyā raat ik biite saal kī
yahī havā thī baaġh meñ yahī sadā ghaḌiyāl kī
mahak ajab sī ho ga.ī paḌe paḌe sandūq meñ
rañgat phīkī paḌ ga.ī resham ke rūmāl kī
shahr meñ Dar thā maut kā chāñd kī chauthī raat ko
īñToñ kī is khoh meñ dahshat thī bhauñchāl kī
shaam jhukī thī bahr par pāgal ho kar rañg se
yā tasvīr thī ḳhvāb meñ mere kisī ḳhayāl kī
umr ke saath ajiib sā ban jaatā hai aadmī
hālat dekh ke dukh huā aaj us parī-jamāl kī
dekh ke mujh ko ġhaur se phir vo chup se ho ga.e
dil meñ ḳhalish hai aaj tak is an-kahe savāl kī
aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki
yahi hawa thi bagh mein yahi sada ghaDiyal ki
mahak ajab si ho gai paDe paDe sanduq mein
rangat phiki paD gai resham ke rumal ki
shahr mein Dar tha maut ka chand ki chauthi raat ko
inTon ki is khoh mein dahshat thi bhaunchaal ki
sham jhuki thi bahr par pagal ho kar rang se
ya taswir thi KHwab mein mere kisi KHayal ki
umr ke sath ajib sa ban jata hai aadmi
haalat dekh ke dukh hua aaj us pari-jamal ki
dekh ke mujh ko ghaur se phir wo chup se ho gae
dil mein KHalish hai aaj tak is an-kahe sawal ki
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 448)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.