aai hai is jahan mein kahan se bala-e-dil
aa.ī hai is jahāñ meñ kahāñ se balā-e-dil
jis se bhī pūchho haal vo kahtā hai haa.e dil
tum to guzar ga.e ho magar gard-e-rāh se
phailī hai saare shahr meñ ab tak vabā-e-dil
kuchh lutf is tarah hai musalsal safar ke saath
manzil bhī sāmne ho to rasta na paa.e dil
ho ḳhuub us ke dar kā jo patthar banā rahe
ho hech us ke dar se jo pahle uThā.e dil
yak-laḳht jal ke ḳhaak meñ milne kā kyā maza
parvāne se kaho ki vo pahle jalā.e dil
aai hai is jahan mein kahan se bala-e-dil
jis se bhi puchho haal wo kahta hai hae dil
tum to guzar gae ho magar gard-e-rah se
phaili hai sare shahr mein ab tak waba-e-dil
kuchh lutf is tarah hai musalsal safar ke sath
manzil bhi samne ho to rasta na pae dil
ho KHub us ke dar ka jo patthar bana rahe
ho hech us ke dar se jo pahle uThae dil
yak-laKHt jal ke KHak mein milne ka kya maza
parwane se kaho ki wo pahle jalae dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.