aai hai phir bahaar kya kahna
aa.ī hai phir bahār kyā kahnā
chashm haiñ ashk-bār kyā kahnā
misl-e-sīmāb muztarib kyoñ hai
ai dil-e-be-qarār kyā kahnā
ab na jā.eñge ġhair ke dar par
kah diyā ek baar kyā kahnā
qabr meñ bhī khulī rahīñ āñkheñ
vaah re intizār kyā kahnā
Dar na tū saath mere chal zāhid
saaqī apnā hai yaar kyā kahnā
pahlī manzil pe thak ke baiTh ga.e
vaa.e bar-jān-e-zār kyā kahnā
na.at-e-ahmad se hai 'qamar' shohrat
aisī shohrat kī yaar kyā kahnā
arsa-e-kā.enāt mauj-e-sarāb
dīda-e-tishna-kār kyā kahnā
ek hī vaar meñ utārā sar
teġh-e-qātil kī dhaar kyā kahnā
mere ḳhvāja hasan nizāmī kā
dil-e-ā.īna-dār kyā kahnā
un tabīboñ se huuñ maiñ be-parvā
shauq-e-dīdār-e-yār kyā kahnā
pūchhtā kyā hai hāl-e-mahjūrī
maiñ huuñ bistar kā taar kyā kahnā
us hinā-basta-pā-e-rangīñ kā
ai dil-e-ḳhūñ-fishār kyā kahnā
shukr ai mausam-e-bahār-e-junūñ
jāma-e-tār-tār kyā kahnā
ham se duurī hai ġhair se qurbat
nahnu-aqrab-nigār kyā kahnā
bulbul-e-bostān-e-ahmad huuñ
naġhma-e-sad-hazār kyā kahnā
haañ madīna hai rashk-e-ḳhuld-e-barīñ
us chaman kī bahār kyā kahnā
dil asīrī se pech-o-tāb meñ hai
gesū-e-pechdār kyā kahnā
dur-e-dandāñ kī garmī-o-tābish
ai dur-e-ābdār kyā kahnā
mujhe saudā hai maiñ pareshāñ huuñ
zulf kā intishār kyā kahnā
fitna-pardāz-o-tafraqa-andāz
falak-e-be-vaqār kyā kahnā
misl-e-parvāna tum pe martā hai
'qamar'-e-jāñ-nisār kyā kahnā
aai hai phir bahaar kya kahna
chashm hain ashk-bar kya kahna
misl-e-simab muztarib kyon hai
ai dil-e-be-qarar kya kahna
ab na jaenge ghair ke dar par
kah diya ek bar kya kahna
qabr mein bhi khuli rahin aankhen
wah re intizar kya kahna
Dar na tu sath mere chal zahid
saqi apna hai yar kya kahna
pahli manzil pe thak ke baiTh gae
wae bar-jaan-e-zar kya kahna
nat-e-ahmad se hai 'qamar' shohrat
aisi shohrat ki yar kya kahna
arsa-e-kaenat mauj-e-sarab
dida-e-tishna-kar kya kahna
ek hi war mein utara sar
tegh-e-qatil ki dhaar kya kahna
mere KHwaja hasan nizami ka
dil-e-aina-dar kya kahna
un tabibon se hun main be-parwa
shauq-e-didar-e-yar kya kahna
puchhta kya hai haal-e-mahjuri
main hun bistar ka tar kya kahna
us hina-basta-pa-e-rangin ka
ai dil-e-KHun-fishaar kya kahna
shukr ai mausam-e-bahaar-e-junun
jama-e-tar-tar kya kahna
hum se duri hai ghair se qurbat
nahnu-aqrab-nigar kya kahna
bulbul-e-bostan-e-ahmad hun
naghma-e-sad-hazar kya kahna
han madina hai rashk-e-KHuld-e-barin
us chaman ki bahaar kya kahna
dil asiri se pech-o-tab mein hai
gesu-e-pechdar kya kahna
dur-e-dandan ki garmi-o-tabish
ai dur-e-abdar kya kahna
mujhe sauda hai main pareshan hun
zulf ka intishaar kya kahna
fitna-pardaz-o-tafraqa-andaz
falak-e-be-waqar kya kahna
misl-e-parwana tum pe marta hai
'qamar'-e-jaan-nisar kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.