aai hai us but-e-kafir pe tabiat apni
aa.ī hai us but-e-kāfir pe tabī.at apnī
baḳht apne haiñ nasīb apne haiñ qismat apnī
ik zamāna thā ki har roz chale aate the
ab to muddat se dikhāte nahīñ sūrat apnī
kis bharose pe tū maġhrūr hai mun.im itnā
jaan apnī hai na daulat na hukūmat apnī
maiñ balā-nosh huuñ saaqī mujhe de bhar ke subū
ek sāġhar se nahīñ bhartī hai niyyat apnī
va.ada-e-vasl qayāmat hī ko puurā hogā
intizār is kā nahīñ ye hai qayāmat apnī
itr se baḌh ke mo.attar hai ye zulfoñ kā ḳhayāl
jis kī ḳhushbū se mahak jā.eñgī turbat apnī
ham bhī be-misl haiñ rakhte nahīñ duniyā meñ misāl
kisī sūrat se nahīñ miltī hai sūrat apnī
jab guzar gor-e-ġharībāñ pe ho tham kar chaliye
hashr se pahle na ho jaa.e qayāmat apnī
jab ki tere hī sivā mūnis-o-ġham-ḳhvār nahīñ
phir na kyoñ arz kareñ tujh hī se hālat apnī
piir kā hai ye tasadduq ki huuñ mash.hūr-e-jahāñ
ishq-e-mahbūb-e-ḳhudā se huī shohrat apnī
mujh sā tū bhī to hai ik banda-e-ājiz mun.im
kyoñ dikhātā hai hameñ shaukat-o-hashmat apnī
yuuñ hī hasrat meñ nikal jā.eñgī kyā jān-e-hazīñ
yā-ilāhī kabhī laḌ jā.eñgī qismat apnī
aa.ina ko huī hairat mirī ḳhud-bīnī se
miltī-jultī kisī sūrat se hai sūrat apnī
sar mirā bār-e-garāñ hai tan-e-be-jāñ pe mire
teġh-e-qātil se nikal jā.eñgī kulfat apnī
mujh ko badnām kiyā girya-o-zārī ne mirī
aabrū hī na rahī aur na hai izzat apnī
baa'd marne ke bhī aa.egā nahīñ chain mujhe
toḌ kar saaf nikal jā.ūñgā turbat apnī
duur se kartā huuñ zāhid tirī chāhat ko salām
terī sohbat se bigaḌ jā.eñgī aadat apnī
bāda-ḳhvārī se 'qamar' ḳhalq meñ badnām huā
ronā aatā hai mujhe dekh ke hālat apnī
aai hai us but-e-kafir pe tabiat apni
baKHt apne hain nasib apne hain qismat apni
ek zamana tha ki har roz chale aate the
ab to muddat se dikhate nahin surat apni
kis bharose pe tu maghrur hai munim itna
jaan apni hai na daulat na hukumat apni
main bala-nosh hun saqi mujhe de bhar ke subu
ek saghar se nahin bharti hai niyyat apni
wada-e-wasl qayamat hi ko pura hoga
intizar is ka nahin ye hai qayamat apni
itr se baDh ke moattar hai ye zulfon ka KHayal
jis ki KHushbu se mahak jaengi turbat apni
hum bhi be-misl hain rakhte nahin duniya mein misal
kisi surat se nahin milti hai surat apni
jab guzar gor-e-ghariban pe ho tham kar chaliye
hashr se pahle na ho jae qayamat apni
jab ki tere hi siwa munis-o-gham-KHwar nahin
phir na kyon arz karen tujh hi se haalat apni
pir ka hai ye tasadduq ki hun mashhur-e-jahan
ishq-e-mahbub-e-KHuda se hui shohrat apni
mujh sa tu bhi to hai ek banda-e-ajiz munim
kyon dikhata hai hamein shaukat-o-hashmat apni
yun hi hasrat mein nikal jaengi kya jaan-e-hazin
ya-ilahi kabhi laD jaengi qismat apni
aaina ko hui hairat meri KHud-bini se
milti-julti kisi surat se hai surat apni
sar mera bar-e-garan hai tan-e-be-jaan pe mere
tegh-e-qatil se nikal jaengi kulfat apni
mujh ko badnam kiya girya-o-zari ne meri
aabru hi na rahi aur na hai izzat apni
ba'd marne ke bhi aaega nahin chain mujhe
toD kar saf nikal jaunga turbat apni
dur se karta hun zahid teri chahat ko salam
teri sohbat se bigaD jaengi aadat apni
baada-KHwari se 'qamar' KHalq mein badnam hua
rona aata hai mujhe dekh ke haalat apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.