aai qarib sham to aisa laga charagh
aa.ī qarīb shaam to aisā lagā charāġh
apnī hī raushnī se nahīñ āshnā charāġh
sakte meñ log aa ga.e raushan huā ḳhayāl
jaise sabhī ke vāste manzar huā charāġh
alfāz un ke dene lage raushnī tamām
tārīf meñ charāġh kī jab bhī kahā charāġh
māthe pe thā pasīna badan bhī thā chūr-chūr
thā gesūoñ meñ raat kī uljhā huā charāġh
thā us ke tevaroñ meñ junūñ inqalāb kā
jo āñdhiyoñ ke taaq meñ jaltā rahā charāġh
vahshat ke dā.ere meñ ka.ī zindagī tamām
jugnū kī zindagī ko maiñ likhtā rahā charāġh
ai 'aks' khiḌkiyoñ ko khulā chhoḌ de zarā
kamre ke band gheroñ se ghabrā gayā charāġh
aai qarib sham to aisa laga charagh
apni hi raushni se nahin aashna charagh
sakte mein log aa gae raushan hua KHayal
jaise sabhi ke waste manzar hua charagh
alfaz un ke dene lage raushni tamam
tarif mein charagh ki jab bhi kaha charagh
mathe pe tha pasina badan bhi tha chur-chur
tha gesuon mein raat ki uljha hua charagh
tha us ke tewaron mein junun inqalab ka
jo aandhiyon ke taq mein jalta raha charagh
wahshat ke daere mein kai zindagi tamam
jugnu ki zindagi ko main likhta raha charagh
ai 'aks' khiDkiyon ko khula chhoD de zara
kamre ke band gheron se ghabra gaya charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.