aai sahar qarib to maine paDhi ghazal
aa.ī sahar qarīb to maiñ ne paḌhī ġhazal
jaane lage sitāroñ ke bajte hue kañval
be-tāb hai junūñ ki ġhazal-ḳhvāniyāñ karūñ
ḳhāmosh hai ḳhirad ki nahīñ baat kā mahal
kaise diye jalā.e ġham-e-rozgār ne
kuchh aur jagmagā.e ġham-e-yār ke mahal
ab tark-e-dostī hī taqāzā hai vaqt kā
ai yār-e-chāra-sāz mirī aag meñ na jal
ai iltifāt-e-yār mujhe sochne to de
marne kā hai maqām yā jiine kā hai mahal
ham rind ḳhāk-o-ḳhūñ meñ aTe haath bhī kaTe
nikle na ai bahār tire gesuoñ ke bal
rāhoñ meñ jū-e-ḳhūñ hai ravāñ misl mauj hai
saaqī yaqīñ na ho to zarā mere saath chal
kuchh bijliyoñ kā shor hai kuchh āndhiyoñ kā zor
dil hai maqām par to zarā baam par nikal
farmān-e-shahryār kī parvā nahīñ mujhe
īmān-e-āshiqāñ ho to 'ābid' paḌhe ġhazal
aai sahar qarib to main ne paDhi ghazal
jaane lage sitaron ke bajte hue kanwal
be-tab hai junun ki ghazal-KHwaniyan karun
KHamosh hai KHirad ki nahin baat ka mahal
kaise diye jalae gham-e-rozgar ne
kuchh aur jagmagae gham-e-yar ke mahal
ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka
ai yar-e-chaara-saz meri aag mein na jal
ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de
marne ka hai maqam ya jine ka hai mahal
hum rind KHak-o-KHun mein aTe hath bhi kaTe
nikle na ai bahaar tere gesuon ke bal
rahon mein ju-e-KHun hai rawan misl mauj hai
saqi yaqin na ho to zara mere sath chal
kuchh bijliyon ka shor hai kuchh aandhiyon ka zor
dil hai maqam par to zara baam par nikal
farman-e-shahryar ki parwa nahin mujhe
iman-e-ashiqan ho to 'abid' paDhe ghazal
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 699)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.