aai udas raat sahar chashm-e-tar gai
aa.ī udaas raat sahar chashm-e-tar ga.ī
vo kyā ga.e ki raunaq-e-shām-o-sahar ga.ī
yuuñ to harīm-e-nāz pe sab kī nazar ga.ī
lekin zamāne bhar kī balā mere sar ga.ī
rishta ḳhushī kā ġham se kabhī TūTtā nahīñ
ġham mere paas hai to ḳhushī us ke ghar ga.ī
mere lahū se rang-e-gulistāñ nikhar gayā
mere junūñ ke faiz se duniyā sañvar ga.ī
maiñ kho gayā huuñ gardish-e-daurāñ meñ is tarah
ye bhī ḳhabar nahīñ ki javānī kidhar ga.ī
hāthoñ se chhūT chhūT gayā dāman-e-ḳhayāl
kāfir nigāh chhoḌ ke aisā asar ga.ī
husn-e-junūñ-navāz kī dildāriyāñ 'nazīr'
jalve machal rahe the jahāñ tak nazar ga.ī
aai udas raat sahar chashm-e-tar gai
wo kya gae ki raunaq-e-sham-o-sahar gai
yun to harim-e-naz pe sab ki nazar gai
lekin zamane bhar ki bala mere sar gai
rishta KHushi ka gham se kabhi TuTta nahin
gham mere pas hai to KHushi us ke ghar gai
mere lahu se rang-e-gulistan nikhar gaya
mere junun ke faiz se duniya sanwar gai
main kho gaya hun gardish-e-dauran mein is tarah
ye bhi KHabar nahin ki jawani kidhar gai
hathon se chhuT chhuT gaya daman-e-KHayal
kafir nigah chhoD ke aisa asar gai
husn-e-junun-nawaz ki dildariyan 'nazir'
jalwe machal rahe the jahan tak nazar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.