aain kyon hichkiyan nahin malum
aa.iiñ kyoñ hichkiyāñ nahīñ mālūm
kaun hai mehrbāñ nahīñ mālūm
ḳhud-baḳhud jhuk ga.ī jabīn-e-shauq
kis kā thā āstāñ nahīñ mālūm
be-ḳhudī meñ baḌhā rahā huuñ qadam
jā rahā huuñ kahāñ nahīñ mālūm
sākin-e-arsh thā kabhī maiñ bhī
kaise aayā yahāñ nahīñ mālūm
jā rahā huuñ ġhubār ke pīchhe
hai kahāñ kārvāñ nahīñ mālūm
yaad itnā hai barq chamkī thī
kyā huā āshiyāñ nahīñ mālūm
kahte kahte fasāna ġham kā 'sa.īd'
ruk ga.ī kyoñ zabāñ nahīñ mālūm
aain kyon hichkiyan nahin malum
kaun hai mehrban nahin malum
KHud-baKHud jhuk gai jabin-e-shauq
kis ka tha aastan nahin malum
be-KHudi mein baDha raha hun qadam
ja raha hun kahan nahin malum
sakin-e-arsh tha kabhi main bhi
kaise aaya yahan nahin malum
ja raha hun ghubar ke pichhe
hai kahan karwan nahin malum
yaad itna hai barq chamki thi
kya hua aashiyan nahin malum
kahte kahte fasana gham ka 'said'
ruk gai kyon zaban nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.