aaina-e-KHayal mein KHwabon ke silsile
ā.īna-e-ḳhayāl meñ ḳhvāboñ ke silsile
dariyā meñ maujzan haiñ sarāboñ ke silsile
mahke haiñ dil meñ yuuñ tirī yādoñ ke zaḳhm bhī
jaise khile hoñ taaza gulāboñ ke silsile
phūloñ kī anjuman meñ sitāroñ kī chhāñv meñ
bikhre kahāñ kahāñ mire ḳhvāboñ ke silsile
har shaḳhs hai ḳhud apne ḳhayālāt kā rasūl
chehre bhī haiñ ḳhudā kī kitāboñ ke silsile
ham bhī phire haiñ dasht-e-tamannā meñ sar-ba-kaf
milte haiñ ham se ḳhāna-ḳharāboñ ke silsile
ham haiñ savāl-e-‘arz-e-tamanna kī bāzgasht
ham par hue haiñ ḳhatm javāboñ ke silsile
jaltā huuñ zindagī ke jahannum meñ rāt-din
jaarī haiñ har nafas pe 'azāboñ ke silsile
apnī haqīqatoñ ko chhupā.e hue haiñ log
chehre haiñ yā hasīn naqāboñ ke silsile
ai 'badr' zaḳhm-e-dil haiñ ġham-e-dil pe ḳhanda-zan
dariyā se khelte haiñ habāboñ ke silsile
aaina-e-KHayal mein KHwabon ke silsile
dariya mein maujzan hain sarabon ke silsile
mahke hain dil mein yun teri yaadon ke zaKHm bhi
jaise khile hon taza gulabon ke silsile
phulon ki anjuman mein sitaron ki chhanw mein
bikhre kahan kahan mere KHwabon ke silsile
har shaKHs hai KHud apne KHayalat ka rasul
chehre bhi hain KHuda ki kitabon ke silsile
hum bhi phire hain dasht-e-tamanna mein sar-ba-kaf
milte hain hum se KHana-KHarabon ke silsile
hum hain sawal-e-‘arz-e-tamanna ki bazgasht
hum par hue hain KHatm jawabon ke silsile
jalta hun zindagi ke jahannum mein raat-din
jari hain har nafas pe 'azabon ke silsile
apni haqiqaton ko chhupae hue hain log
chehre hain ya hasin naqabon ke silsile
ai 'badr' zaKHm-e-dil hain gham-e-dil pe KHanda-zan
dariya se khelte hain hababon ke silsile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.