aaina jism se hai mulaqat ke liye
ā.īna jism se hai mulāqāt ke liye
betāb sī hai ruuh tirī zaat ke liye
milnā thā rab se kar ke badan ko misāl-e-ḳhāk
is ko sañvāre jaate the kis baat ke liye
pursān-e-hāl hashr meñ koī nahīñ hai aaj
bechain sab haiñ terī ināyāt ke liye
gar kuchh nahīñ to ashk-e-nadāmat hī hote saath
nazrāna kuchh to hotā tirī zaat ke liye
'nīlam' amal ke jalte charāġhoñ ko rakhnā saath
kuchh raushnī to chāhiye is raat ke liye
aaina jism se hai mulaqat ke liye
betab si hai ruh teri zat ke liye
milna tha rab se kar ke badan ko misal-e-KHak
is ko sanware jate the kis baat ke liye
pursan-e-haal hashr mein koi nahin hai aaj
bechain sab hain teri inayat ke liye
gar kuchh nahin to ashk-e-nadamat hi hote sath
nazrana kuchh to hota teri zat ke liye
'nilam' amal ke jalte charaghon ko rakhna sath
kuchh raushni to chahiye is raat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.