aaina ru-ba-ru hai shikasta khaDa hun main
ā.īna rū-ba-rū hai shikasta khaḌā huuñ maiñ
duniyā samajh rahī hai ki sab se baḌā huuñ maiñ
sadiyoñ se ik nigāh ko āñkheñ taras ga.iiñ
dil ko bichhā.e raah meñ kab se khaḌā huuñ maiñ
lafzoñ ke her-pher se ma.anī badal gayā
mafhūm-e-zindagī pe abhī tak aḌā huuñ maiñ
kuchh apnā ġham samāj kā ġham dostoñ kā ġham
ġham-hā-e-be-shumār meñ tanhā khaḌā huuñ maiñ
har shaḳhs aa.ine se yahī pūchhtā rahā
is shahr-e-be-libās meñ kab se paḌā huuñ maiñ
'nashtar' udaas raat kī mahrūmiyoñ se pūchh
kyoñ subh-e-dil-navāz ke pīchhe paḌā huuñ maiñ
aaina ru-ba-ru hai shikasta khaDa hun main
duniya samajh rahi hai ki sab se baDa hun main
sadiyon se ek nigah ko aankhen taras gain
dil ko bichhae rah mein kab se khaDa hun main
lafzon ke her-pher se mani badal gaya
mafhum-e-zindagi pe abhi tak aDa hun main
kuchh apna gham samaj ka gham doston ka gham
gham-ha-e-be-shumar mein tanha khaDa hun main
har shaKHs aaine se yahi puchhta raha
is shahr-e-be-libas mein kab se paDa hun main
'nashtar' udas raat ki mahrumiyon se puchh
kyon subh-e-dil-nawaz ke pichhe paDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.